Ruk ja O dil deewane, puchoon toh main zara
Ladki hai ya hai jaadu, khushboo hai ya nasha

Paas woh aaye toh, chhoo ke main dekhoon zara

Dekhe woh idhar haske bekhabar thaamke dil hum khade hain
Gumsum si nazar uski hai magar, honthon pe shikve bade hain
Baat ban jaaye toh, main baat chhedoon zara
Ruk ja O dil deewane, puchoon toh main zara
Ladki hai ya hai jaadu, khushboo hai ya nasha
Sharma woh gayi ghabra woh gayi, maine jo usko pukaara
Yeh dil le liya usne kar diya, aankhon hi aankhon mein ishaara
Jaan bhi jaaye toh, gham na karoon main zara
Ruk ja O dil deewane, puchoon toh main zara
Ladki hai ya hai jaadu, khushboo hai ya nasha
Mehfil mein haseen tu hi toh nahin, roothi tu kis liye akeli
Jis pe yun fida yeh dil ho gaya, woh toh hai teri ek saheli
Maan woh jaaye toh, baahon mein le loon zara