Music Release Date: 27 Aug 1997

Lyrics

Bholi Si Surat

Music Director(s): Uttam Singh
Lyricist: Anand Bakshi
Singer(s): Lata Mangeshkar, Udit Narayan

Bholi Si Surat, Aankhon Mein Masti
Aaye Haaye, Are Bholi Si Surat
Aankhon Mein Masti, Door Khadi Sharmaaye, Aaye Haaye
Ek Jhalak Dikhlaaye Kabhi, Kabhi Aanchal Mein Chhup Jaaye
Aaye Haaye, Meri Nazar Se Tum Dekho Toh Yaar Nazar Woh Aaye

Bholi Si Surat
Aankhon Mein Masti, Door Khadi Sharmaaye, Aaye Haaye
Ek Jhalak Dikhlaaye Kabhi, Kabhi Aanchal Mein Chhup Jaaye
Aaye Haaye, Meri Nazar Se Tum Dekho Toh Yaar Nazar Woh Aaye
Bholi Si Surat
Aankhon Mein Masti,  Aaye Haaye

Ladki Nahin Hai, Woh Jaadu Hai, Aur Kaha Kya Jaaye
Raat Ko Mere Khwaab Mein Aayi, Woh Zulfein Bikhraaye
Aankh Khuli Toh Dil Chaha Phir Neend Mujhe Aa Jaaye
Bin Dekhe Yeh Haal Hua, Dekhun Toh Kya Ho Jaaye
Bholi Si Surat
Aankhon Mein Masti, Door Khadi Sharmaaye, Aaye Haaye
Ek Jhalak Dikhlaaye Kabhi, Kabhi Aanchal Mein Chhup Jaaye
Aaye Haaye
Meri Nazar Se Tum Dekho Toh Yaar Nazar Woh Aaye
Bholi Si Surat
Aankhon Mein Masti
Aaye Haaye

Saawan Ka Pehla Baadal, Uska Kaajal Ban Jaaye
Mauj Uthhe Saagar Mein Jaise Aise Kadam Uthaaye
Rab Ne Jaane Kis Mitti Se Uske Ang Banaaye
Chham Se Kaash Kahin Se Mere Saamne Woh Aa Jaaye
Bholi Si Surat
Aankhon Mein Masti, Door Khadi Sharmaaye, Aaye haayw
Ek Jhalak Dikhlaaye Kabhi, Kabhi Aanchal Mein Chhup Jaaye
Aaye Haaye
Meri Nazar Se Tum Dekho Toh Yaar Nazar Woh Aaye
Bholi Si Surat
Aankhon Mein Masti, Door Khadi Sharmaaye
Aaye Haaye
Aaye Haaye