Music Release Date: 09 Apr 2010

Lyrics

Chaska

Music Director(s): Pritam
Lyricist: Anvita Dutt Guptan
Singer(s): Krishna, Url

Laga re laga, Nasha dhaturi,
Laga re laga, Bada zaroori,
Laga re laga, Pehli martaba,
Laga re laga, Zubaan pe thoda,
Ke jaisey koyi chaat chatora,
Laga re laga, Pehli martaba.

Taazi karari hai, bhun ke utaari hai Kismat garma garam.
Sab pe yeh bhaari hai, aisi bimari hai, Aaye na sharam.
Chaska chaska laga hai chaska chaska  bura hai chaska chaska.

Yeh chadh jaaye to har dua Aur koyi dawa, Na asar karey,
Thoda teda hai majra.
Yeh chakh jaaye to sarr phira, Khwab se bhara,
Bin khabar karey, Thoda teda hai majra. 
Aaye na baaz aaye, Har hadd se paar jaaye,
Yeh to hai voh bala jo har shararat aazmaaye,
Bachna tu lakh chahey, Koshish bekaar jaaye,
Kar ke bhi sau daleelein sau vakaalat haar jaaye.

Yeh lag jaaye to sarr jhuka, Peer bhi bula, Na asar karey,
Thoda teda hai majra.
Rabb ko bhi phone tu laga, Har button daba, Na asar karey,
Thoda teda hai majra. 
Khud ko hi kyun banaye, Jhootey nuskey sunaye.
Badley jo yeh hakeekat to ganeemat ho hi jaaye Galti se jaag jaye,
Dhokey se bhaag jaaye Terey bus mein na phir bhi yeh museebat taal jaaye.