Lehraati hui raahein
Khole huye hain baahein
Yeh hum aa gaye hain kahaan
Palkon pe gehre halke
Hain reshmi dhund halke
Yeh hum aa gaye hain kahaan
Yeh hum aa gaye hain kahaan
Woh dekho zara parbaton pe ghataayein
Hamaari dastan haule se sunaayein
Suno toh zara yeh phoolon ki vaadi
Hamaari hi koi kahaani hai sunaati
Sapnon ke is nagar mein
Yaadon ki rehguzar mein
Yeh hum aa gaye hain kahaan
Yeh hum aa gaye hain kahaan
Jo raahon mein hai rut ne sona bikhera
Sunehra hua tera mera savera
Zameen so gayi barf ki chadaron mein
Bas ek aag si jalti hai do dilon mein
Hawayein san sanayein badan kaanp jaayein
Yeh hum aa gaye hain kahaan
Yeh hum aa gaye hain kahaan
Yeh hum aa gaye hain kahaan
Yeh barsaat bhi kab thamein kaun jaane
Tumhein mil gaye pyaar ke sau bahaane
Sitaaron ki hai jaise baaraat aayi
Hamare liye raat yun jagmagayi
Sapne bhi jhilmilayein
Dil mein diye jalayein
Yeh hum aa gaye hain kahaan
Yeh hum aa gaye hain kahaan
Yeh hum aa gaye hain kahaan