Tere liye hum hain jiye honthon ko seeye
Tere liye hum hain jiye har aansoo peeye
Dil mein magar jalte rahe Chahat ke diye
Tere liye, tere liye
Tere liye hum hain jiye har aansoo peeye
Tere liye hum hain jiye honthon ko seeye
Dil mein magar jalte rahe
Chahat ke diye
Tere liye, tere liye
Zindagi, leke aayi hai, beete dinon ki kitaab
Zindagi leke aayi hai beete dinon ki kitaab
Ghere hain ab humein yaadein behisaab
Bin pooche mile mujhe kitne saare jawaab
Chaha tha kya paaya hai kya humne dekhiye
Dil mein magar jalte rahe
Chahat ke diye
Tere liye, tere liye
Kya kahoon duniya ne kiya, mujhse kaisa bair
Kya kahoon duniya ne kiya, mujhse kaisa bair
Hukum tha main jiyoon lekin tere bagair
Naadaan hain woh kehte hain jo mere liye tum ho gair
Kitne sitam humpe sanam logon ne kiye
Dil mein magar jalte rahe
Chahat ke diye
Tere liye, tere liye
Tere liye hum hain jiye honthon ko seeye
Tere liye hum hain jiye har aansoo peeye
Dil mein magar jalte rahe
Chahat ke diye
Tere liye, tere liye
Tere liye
Tere liye
Tere liye
Tere liye