Hum toh bhai jaise hain waise rahenge
Hum toh bhai jaise hain waise rahenge
Hum toh bhai jaise hain waise rahenge
Ab koi khush ho ya ho khafa
Hum nahin badlenge apni ada
Samjhe naa samjhe koi hum yehi kahenge
Hum toh bhai jaise hain waise rahenge
Hum toh bhai jaise hain waise rahenge
Hum dil ki shehzaadi hain marzi ki mallika
Hum dil ki shehzaadi hain marzi ki mallika
Sar pe aanchal kyon rakhein dhalka to dhalka
Ab koi khush ho ya koi roothe
Iss baat par chahe har baat toote
Hum toh bhai jaise hain waise rahenge
Hum toh bhai jaise hain waise rahenge
Humein shauq mehndi ka naa shehnai ka hai
Humein shauq mehndi ka naa shehnai ka hai
Hamare liye toh apna ghar hi bhala hai
Sunta agar ho toh sunle qaazi
Lagta nahin kabhi hum honge raazi
Hum toh bhai jaise hain waise rahenge
Hum toh bhai jaise hain waise rahenge
Ab koi khush ho ya ho khafa
Hum nahin badlenge apni ada
Samjhe naa samjhe koi hum yehi kahenge
Hum toh bhai jaise hain waise rahenge
Hum toh bhai jaise hain waise rahenge