Music Release Date: 18 Sep 2004

Lyrics

Aaya Tere Dar Par

Music Director(s): The Late Madan Mohan
Lyricist: Javed Akhtar
Singer(s): Ahmed Hussain, Mohd. Hussain, Mohd Vakil, Javed Hussain

Jo bandishein thi zamaane ki tod aaya hoon
Main tere vaaste duniya ko chhod aaya hoon

Aaya tere dar par deewaana
Aaya tere dar par deewaana
Aaya ho aaya, aaya tera deewaana                                                   
Aaya tere dar par deewaana                                   
Aaya tere dar par deewaana
Tera deewaana tera deewaana tera deewaana                   
Aaya tere dar par deewaana
Aaya tere dar par deewaana

Yeh hai tera hi saudaai
Yeh hai tera hi shaidaai
Yeh hai tera hi saudaai
Yeh hai tera hi shaidaai
Tere ishq mein hai ise mar jaana                                     
Aaya tere dar par deewaana
Aaya tere dar par deewaana
Tera jalwa jo paaon
Main har gham bhool jaaon
Tera jalwa jo main paaon
Main toh har gham bhool jaaon
Yeh aansoo jo hain behete
Bas itna hain yeh kehete
Kahaan tu aur kahaan main
Par aaya hoon yahaan main                                     

Karam itna agar ho
Ki mujh par ik nazar ho
Karam itna agar ho
Ki mujh par ik nazar ho

Jaan-o-dil vaar doon main
Zindagi haar doon main
Jaan-o-dil vaar doon main
Zindagi haar doon main

Jaise shamma pe marta hai parwaana
Aaya tere dar par deewaana
Aaya tere dar par deewaana
Aaya tere dar par tera hi deewaana
Aaya tere dar par tera hi deewaana
Deewaana tera deewaana tera deewaana tera deewaana tera deewaana tera
Deewaana tera deewaana tera deewaana tera
Aaya tere dar par deewaana deewaana deewaana
Aaya kis modh pe afsaana
Aaya kis modh pe afsaana
Tere ishq hain mein hai ise mar jaana
Aaya kis modh pe afsaana
Aaya kis modh pe afsaana
Aaya kis modh pe afsaana
Aaya kis modh pe afsaana

Yeh sitam ka riwaaz kyon hai
Jaisa hai yeh samaaj kyon hai
Yeh duniya ki hai rasmein
Main hoon ab inke bas mein                                           
Yeh jo duniya ki hai rasmein
Main hoon ab inke hi bas mein
Na poocho kya gila hai
Mujhe gham kyon mila hai
Tumhein main kya bataaon
Mohabbat jurm hai kyon
Koi rota hai kyon
Aisa hota hai kyon
Kyon dil se har ik hai anjaana
Aaya kis modh pe afsaana
Aaya kis modh pe afsaana

Ye kis mahaul mein hum hain
Khushi ke bhes mein gham hai
Kise apna kahein kise begaana
Aaya kis modh pe afsaana
Aaya kis modh pe afsaana

Aaya kis modh pe mera afsaana
Aaya kis modh pe mera afsaana`
Afsaana mera afsaana mera afsaana mera afsaana mera afsaana mera
Aaya kis modh pe afsaana afsaana afsaana
Aaya kis modh pe afsaana
Aaya kis modh pe afsaana
Aaya kis modh pe afsaana
Aaya kis modh pe afsaana