Sehra Sahil Jungle Basti Baagh Woh
Shola Shola Jalta Chirag Woh
O Parvat Paani Aandhi Ambar Aag Woh
Shola Shola Jalta Chirag Woh
Har Kaali Raat Se Ladta Hai Woh
Jalta Hai Aur Nikharta Hai
Aage Hi Aage Badhta
Jab Tak Zinda Hai
Bheetar Toofan Abhi Zinda Hai
Jazbon Mein Jaan Abhi Zinda Hai
Sagar Khamoshi Mein Bhi
Sagar Hi Rehta Hai
Lehron Se Kehta Hai Woh Zinda Hai
Bheetar Toofan Abhi Zinda Hai
Jazbon Mein Jaan Abhi Zinda Hai
Raaton Ke Saaye Mein Hai Woh Chhupa
Dushman Na Dekhega Kal Ki Subah
Kahaan Se Aaya Woh Kahaan Hai Jaata
Na Mujhko Pata Hai Na Tujhko Pata
Haan Woh Nihattha Hi Shatru Ko Karta Nirastra
Bhes Badalta Woh Jaise Ho Vastra
Jadh Se Ukhaadega Bheetar Se Maarega
Uska Iraada Hai Brahma Ka Astra
Woh Gyaani Hai Swabhimaani Wohi
Tu Jaanta Uski Kahaani Nahin
Zinda Hai Zinda Rahega Woh
Jab Tak Ke Marne Ki Usne Hi Thaani Nahin
Gairat Gussa Chaahat Aur Malaal Woh
Ziddi Ziddi Ziddi Khayaal Woh
Hey Jung Bhi Hai Woh Hamla Bhi Aur Chaal Woh
Ziddi Ziddi Ziddi Khayaal Woh
Sholon Ki Aankh Mein Rehta Hai
Har Sachchi Baat Woh Kehta Hai
Lava Sa Rangon Mein Behta
Woh Jab Tak Zinda Hai
Bheetar Toofan Abhi Zinda Hai
Jazbon Mein Jaan Abhi Zinda Hai
Sagar Khamoshi Mein Bhi
Sagar Hi Rehta Hai
Lehron Se Kehta Hai Woh Zinda Hai
Bheetar Toofan Abhi Zinda Hai
Jazbon Mein Jaan Abhi Zinda Hai