O Al-Bari
Tera Aadam Mujhko
Dikhlaave Ki Cheez Banaaye
Kyon Mujhko Mere
Jism Se Aage
Samajh Na Paaye
O Al-Wali
Bolo Aisa
Kyon Hai Mujhse
Paida Hua Hai Jo Woh
Har Pal Har Dum Mujhko
Kamzor Bataaye
Jo Thi Tere Wajood Pe Duniya
Baithi Hai Barood Pe Duniya
Mool Toh Sabko Bhool Gaya Hai
Jeeti Hai Ab Sood Pe Duniya
Saare Qayatein
Kitaabein Bhool Gaye
Mitti Mein Saare Bhool Gaye
Mujh Mein Koi Baat Nahin
Koi Aukaat Nahin
Tu Hi Toh Hai Shaan Meri
Tu Hi Hai Guroor
Kyon Door
Tera Noor
Zikr-e-Ilahi Ka
Jab Hai Mujhko Suroor
Ulfat Ke Bin
Kahaan Rihaai
Baat Kisi Ko
Samajh Na Aayi
Phir Bhi Sabko Samajh Baantta
Iss Duniya Mein Har Saudaai
Zinda Jazbaat Nahin
Haq Mein Haalaat Nahin
Manoongi Na Haar Mujhe Hai
Fateh Ka Fitoor
Kyon Door
Tera Noor
Zikr-e-Ilahi Ka
Jab Hai Mujhko Suroor
Kyon Door
Tera Noor