Saathiya saathiya maddham maddham teri geeli hansi
Saathiya saathiya sunke humne saari pee li hansi
Hansti rahe tu hansti rahe haya ki laali khilti rahe
Zulf ke neeche gardan pe subah shaam milti rahe
Hansti rahe tu hansti rahe haya ki laali khilti rahe
Zulf ke neeche gardan pe subah shaam milti rahe
Saundhi si hansi teri khilti rahe milti rahe
Peeli dhoop pahen ke tum dekho baag mein mat jaana
Bhanvre tumko sab chhedenge phoolon mein mat jaana
Maddham maddham hans de phirse sona sona phirse hans de
Taaza gire patte ki tarah sabz lawn par lete hue
Saat rang hain baharon ke ek ada mein lapete hue
Sawan bhaado saare tumse
Mausam mausam hanste rehna
Maddham maddham hanste rehna
Saathiya saathiya maddham maddham teri geeli hansi
Saathiya saathiya sunke humne saari pee li hansi
Kabhi neele aasmaa pe chalo ghoomne chalein hum
Koi aur mil gaya toh zamee par baras le hum
Teri baali hil gayi hai kabhi shab chamak uthi hai
Kabhi shaam khil gayi hai
Tere balon ki panah mein ees yaah raat guzre
Teri kaali kaali aankhen koi ujli baat utrey
Teri ek hansi ke badle
Meri yeh zameen le le mera aasmaan le le
Saathiya saathiya maddham maddham teri geeli hansi
Saathiya saathiya sunke humne saari pee li hansi
Barf giri hai vaadi mein oon mein lipti simti hui
Barf giri ho vaadi mein aur hansi teri goonje
Oon mein lipti simti hui baat kare dhuaan nikle
Garm garm ujla dhuaan narm narm ujlaa dhuaan