Tune jo na kaha
Main vo sunta raha
Khamakhan bewajah
Khaab bunnta raha
Tune jo na kaha
Main vo sunta raha
Khamakhan bewajah
Khaab bunnta raha
Jaane kiski hume
Lag gayi hai nazar
Is sheher mein na
Apna thikaana raha
Door chahat se main
Apni chalta raha
Khamakhan bewajah
Khaab bunnta raha
Dard pehle se hai zyada
Khud se phir
Ye kiya vada
Khamosh nazrein
Rahein bezubaan
Baaton mein pehle si
Baatein hain
Bolo to lab
Thartharate hain
Raaz ye dil ka
Naa ho bayan
Ho bayan
Ke asar koi humpe nahi
Hum safar mein to hai
Humsafar hain nahi
Door jaata raha
Paas aata raha
Khamakhan bevajah
Khaab bunnta raha
Aaya vo
Phir nazar aise
Baat chidne lagi phir se
Aankhon mein chubhta
Kal ka dhuan
Haal tera na
Humsa hai
Is khushi mein
Kyun ghum sa hai
Basne laga kyun
Phir vo jahaan
Vo jahaan
Door jis se
Gaye the nikal
Phir se yaadon ne
Kar di hai jaise pehel
Lamha beeta hua
Dil dukhaata raha
Khamakhan bevajah
Khaab bunnta raha
Tune jo na kaha
Main vo sunta raha
Khamakhan bewajah
Khaab bunnta raha
Jaane kiski hume
Lag gayi hai nazar
Is sheher mein na
Apna thikaana raha
Door chahat se main
Apni chalta raha
Bujh gayi aag thi
Daag jalta raha