Meri maa ne, meri maa ne, laga diye solah button meri choli mein
Mere babul, o mere babul tu ab jaldi se bitha de mujhe doli mein
Mere babul, o mere babul tu ab jaldi se bitha de mujhe doli mein
Mere babul tu ab jaldi se bitha de mujhe doli mein
Meri paayal mein satra ghunghroo, main satra saal ki hui
Yahi toh woh, o yahi toh woh umar hai jis mein ke sohni mahiwal ki hui
Yahi toh woh, o yahi toh woh umar hai jis mein ke sohni mahiwal ki hui
Mere haathon, mere haathon
Mere haathon mein athraah choodiyaan, main chham chham nachdi phiraan
Pichhe, pichhe meri laaj nighodi, main aage aage nachdi phiraa
Pichhe, pichhe meri laaj nighodi, main aage aage nachdi phiraan
Jhooti daadhi pe moochh lagaake, daga woh beimaan de gaya
Aaya banke, o aaya banke gali ka darzi, kameez ka woh naap le gaya
Aaya banke, o aaya banke gali ka darzi, kameez ka woh naap le gaya
Kaise de doon haay, kaise de doon de doon
Kaise de doon main dil tujhe sajna, yeh dil hai rumaal toh nahin
Kaise le loon, kaise le loon main tere kangna kahin yeh koi chaal toh nahin
Koi ladka pasand nahin aaya, ke bas maine naa kardi
Naam uska, naam uska magar jab aaya toh phat maine haan kardi
Oye shaava shaava shaava
Kaise jaaon sajan se milne main kaise ikraar kar loon
Sab poochhenge o sab poochhenge aayi kahan se bahaana taiyaar kar loon
Sab poochhenge o sab poochhenge aayi kahan se bahaana taiyaar kar loon
Mere naino ke teer kamaan se, chura ke saare teer le gaya
Main nahaa ke talaab se nikali woh meri tasveer le gaya
Kuchh deke kya kuchh deke use tu waapas woh teri tasveer maang le
Aisa naa ho aisa naa ho ke chauraahe pe woh teri tasveer taang de
Aisa naa ho aisa naa ho ke chauraahe pe woh teri tasveer taang de
Mujhe sakhiyon, mujhe sakhiyon
Mujhe sakhiyon aise naa nachaao ki yeh hai sasuraal meri
Mere lehnge mein
Mere lehnge mein ghungroo lagaao, toh phir dekho chaal meri
Mere lehnge mein ghungroo lagaao, toh phir dekho chaal meri
Meri maa ne laga diye solah button meri choli mein
Mere babul, o mere babul tu ab jaldi se bitha de mujhe doli mein
Mere babul tu ab jaldi se bitha de mujhe doli mein