Dil ko samjha bujha ke
Khud ko ullu bana ke
Ullu seedha karta rehta hai
Jo woh toota nahin hai
Tujhse rootha nahin hai
Phir kyun aisa dukhta rehta hai
Nakli dilaase... farzi khulaase
Galti pe parde yeh daale
Dekar yeh jhaanse... khud ko hi phaanse
Nuksaan mein dhoondhe munaafe
Bewakoofiyaan...
Bematlab betuki si
Bekaar si budhhu si
Bewajah bewakoofiyaan...
Bewakoofiyaan...
Bematlab betuki si
Bekaar si budhhu si
Bewajah bewakoofiyaan...
Paara utra nahin hai
Bilkul sudhra nahin hai
Munh ke bal yeh girta rehta hai
Abhi bigda nahin hai
Sab kuch bikhra nahin hai
Munh latka kyun phirta rehta hai
Kitne dino se... auron ko kose
Kaisi yeh zidd pe adh gaya
Koi toh toke... kam se kam roke
Kab tak khud ko dega yeh dhoke
Bewakoofiyaan...
Bematlab betuki si
Bekaar si budhhu si
Bewajah bewakoofiyaan...
Bewakoofiyaan...
Bematlab betuki si
Bekaar si budhhu si
Bewajah bewakoofiyaan...
Hai nadaan re... aasaan hai re
In hisson ko toh jodna
Kyun pareshaan hai... na mushkil hai
Maafi ke bol bolna
Aisi jhooti mooti
Kyun tadi hai maare
Kya milega tu bata
Ab kya hisaab khole
Tu kya anaabe tole
Kya khoya hai kya haara
Bewakoofiyaan...
Bematlab betuki si
Bekaar si budhhu si
Bewajah bewakoofiyaan...
Bewakoofiyaan...
Bematlab betuki si
Bekaar si budhu si
Bewajah bewakoofiyaan...