Laila ki saans ki dor bandha
Woh deewaana woh majnu hai
Woh hosh nahin behosh baawra
Nahin jaanta woh kyon hai
Behosh use rehne do
Ki hosh mein woh aayega
Toh neend mein uski laila ka
Woh khwaab toot jaayega
Woh khwaab toot jaayega
Woh khwaab toot jaayega
Koi patthar se na maare
Koi patthar se na maare
Mere deewaane ko
Deewaane ko
Koi patthar se na maare
Koi patthar se na maare
Mere deewaane ko
Deewaane ko
So bhi lene do uska
Dard yahi hai dawa yahi hai
So bhi lene do uska
Deen yahi hai jahaan yahi hai
So bhi lene do ki
Woh jaag padha toh darr jaayega
Phir bilakh jaayega ki
Pehlu main laila nahin hai
Maut bhi ghabraaegi
Maut bhi ghabraaegi
Paas mein aane ko
Koi patthar se na maare
Koi patthar se na maare
Mere deewaane ko
Deewaane ko
Rakhna sambhaal ke yeh patthar
Kal ko woh din bhi aayega
Jab patthar honge yeh makaan
Inki bhi hogi ik zubaan
Ki dastaan-e-laila majnu
Shaks shaks dohraaega
Patthar ka dher yeh aaj
Yeh kal ka taj mahal kehlaaega
Nahin mil paayega
Nahin mil paayega
Phir waqt tumhein pachhtaane ko
Koi patthar se na maare
Koi patthar se na maare
Mere deewaane ko
Deewaane ko
Koi patthar se na maare
Koi patthar se na maare
Mere deewaane ko
Deewaane ko